Wednesday 31 August 2011

CHANDNI CHHUT PE CHAL RAHI

CHANDNI CHHUT PE CHAL RAHI HOGI,
AB AKELI TEHEL RAHI HOGI

PHIR MERA JIKAR AA GAYA HOGA,
WO BARAF-SI PIGAL RAHI HOGI

KAL KA SAPNA BAHUT SUHANA THA,
YE UDASI NA KAL RAHI HOGI

SOCHTA HUN KI BUND KAMRE MEIN,
EK SAMHA SI JAL RAHI HOGI

SEHAR KI BHEED BHAAD SE BACHKAR,
TU GALI SE NIKAL RAHI HOGI

AAJ BUNIYAAD THARTHARATI HAI,
WO DUA PHOOL-PHUL RAHI HOGI

TERE GEHNO SI KHANKHANATI THI,
BAAZRE KI FASAL RAHI HOGI

JIN HAWAO NE TUJHKO DULRAYA,
UNME MERI GAZAL RAHI HOGI

Monday 29 August 2011

KAHIN PE DOOP KI CHADAR

KAHIN PE DHOOP KI CHADAR BICHA KE BEETH GAYE,
KAHIN PE SHAM SIRHAANE LAGAKE BEETH GAYE

JULE JO REET MEIN TLUVE TO HUMNE YE DEKHA,
BAHUT SE LOG WAHIN PE CHUTPUTA KE BEETH GAYE

KHADE HUE THE ALAWO KI AANCH LENE KO,
SAB AAPNI -AAPNI HATHELI JULA KE BEETH GAYE

DUKAANDAR TO MELE MEIN LUT GAYE YAARO,
TAMAASBEEN DUKAANE LAGA KE BEETH GAYE

LAHU LUHAAN NAZRO KA ZIKAR AAYA TO,
SHAREEF LOG UTHE AUR DOOR JAAKE BEETH GAYE

YE SOCHKAR KI DARKHUTO MAIN CHANW HOTI HAI,
YAHAN BABOOL KE SAAYE MEIN AAKE BEETH GAYE

DEKH DEHLEEJ SE KAI

DEKH DEHLEEJ SE KOI NAHIN JAANE WALI,
YE KHATARNAK SACHCHAI NAHIN JAANE WALI

KITNA ACHCHA HAI KI SAANSON  KI HAWA LAGTI HAI,
AAG AB UNSE NAHIN BUJAHAI NAHIN JAANE WALI

EK TALAB SI BHAR JAATI HAI HAR BAARISH MEIN,
MEIN SAMAJHTA HUN YE KHAI NAHIN JAANE WALI

CHEEKH NIKLI TO HAI HOTHO SE, MAGAR MADDHAM HAI,
BUND KAMRO MEIN NAHIN SUNAI JAANE WALI

TU PARESHAAN BAHUT HAI,TU PARESHAN NA HO,
IN KHUDAON KI KHUDAI NAHIN JAANE WALI

AAJ SADKO PE CHALE JAO TO DIN BEHLEGA,
NHUND GAJLO SE TANHAI NAHIN JAANE WALI




IS NADI KI DHAAR MEIN

IS NADI KI DHAAR MEIN THANDI HAWA AATI TO HAI,
NAO JARJAR HI SAHI, LEHRON SE TAKRATI TO HAI

EK CHINGARI KAHIN SE DHOONDH LAO DOSTO,
IS DIYE MEIN TAEL SE BHEEGI HUI BAATI TO HAI

EK KHANDHAR KE HRIDY SI, EK JUNGLI PHOOL SI,
AADMI KI PEER GOOGNGI HI SAHI, GAATI TO HAI

EK CHADAR SAANJH NE SAARE NAGAR PAR DAAL DI,
YEH AANDHERE KI SADAK US BHOR TAK JAATI TO HAI

NIRWACHAN MAIDAN MEIN LETI HUI HAI JO NADI,
PATTHARO SE, OAT MEIN JO JAAKE BATYATI TO HAI

DUKH NAHIN KOI KI UPLABDHIYON KE NAM PAR,
AUR KUCH HO YA NA HO, AAKASH SI CHAAATI TO HAI

Sunday 28 August 2011

KAISE MANJAR SAAMNE AANE

KAISE MANZAR SAAMNE AANE LAGE HAIN,
GAATE-GAATE LOG CHILLAANE LAGE HAIN

AAB TO IS TALAB KA PANI BADUL DO,
YE KAMWAL KE PHOOL KUMHLAANE LAGE HAIN

WO SALIBON KE KAREEB AAYE TO HUMKO,
KAAEDE-KANOON SAMJHAANE LAGE HAIN

EK KABRISTAAN MEIN GHAR MIL RAHA HAI,
JISME TEHKHANO MEIN TEHKHAANE LAGE HAIN

MACHLIYON MEIN KHALBALI HAI , AAB SUFEENE,
OUS TARAF JAANE SE KATRAANE LAGE HAIN 

MOLVE SE DAINT KHAKAR AAEHLE MAKTAB,
PHIR USI AAYAT KO DOHRAANE LAGE HAIN

AAB NAI TEHJEEB KE PAASE -NAZAR HUM,
AADMI KO BHOONKAR KHAANE LAGE HAIN 
 

KAHAN TO TEH THA

KAHAN TO TEH THA CHIRANGAN HAREK GHAR KE LIYE,
KAHAN CHIRAG MEYSAR NAHIN SEHAR KE LIYE

YAHAN DARKHATON KE SAAYE MEIN DHOOP LAGTI HAI,
CHALO YAHAN SE CHALEN AUR UMR BHAR KE LIYE

NA HO KAMIJ TO PAON SE PATE DHAK LENGE,
YE LOG KITNE MUNASIB HAIN, IS SAFAR KE LIYE

KHUDA NAHIN, NA SAHI, AADMI KA KHAWAB SAHI,
KOI HASEEN NAZARA TO HAI NAZAR KE LIYE

WE MUTMIN HAIN KI PATTHAR PIGAL NAHIN SAKTA,
MEIN BEKARAR HUN AAWAZ MEIN ASAR KE LIYE

TERA NIZAM HAI SIL DE JUBAN SAYAR KO,
YE EHTIYAT ZARURI HAI IS BEAHR KE LIYE

JIYEN TO AAPNE BAGEECHE MEIN GULMOHAR KE TULE,
MAREIN TO GAER KI GALIYON MEIN GULMOHAR KE LIYE


PUK GAYI HAI AADUTEIN

PUK GAYI HAIN AADUTEIN, BAATON SE SAR HONGI NAHIN,
KOI HUNGAMA KARO, AAISE GUZAR HOGI NAHIN

IN THITHURTI UNGLIYON KO IS LAPAT PAR SENK LO,
DHOOP AB GHAR KI KISI DEEWAR PAR HOGI NAHIN

BOOND TAPKI THI MAGAR WO BOONDE-BAARISH AUR HAI,
AISI BAARIS KI KABHI UNKO KHABAR NAHIN HOGI

AAJ MERA SATH DO, WAISE MUJHE MALOOM HAI,
PATHRON MEIN CHEEKH HARGHIJ KARGAR HOGI NAHIN

AAPKE TUKHDO KE TUKDE KAR DIYE JAAENGE PAR,
AAPKI TAAJIM MEIN KOI KASAR HOGI NAHIN

SIRF SHAYAR DEKHTA HAI KEHKAHO KI AASLIYAT,
HAR KISI KE PAAS TO AISI NAZAR HOGI NAHIN