Thursday 22 September 2011

AAJ VEERAN APNA GHAR DEKHA

AAJ VEERAN APNA GHAR DEKHA,
TO KAI BAAR JHANKH KAR DEKHA

PAAON TUTE HUE NAZAR AAYE,
EK THEHRA HUA SAFAR DEKHA

HOSH MEIN AA GAYE KAI SAPNE,
AAJ HUMNE WO KHANDEHAR DEKHA

RAASTA KAATKAR GAI BILLI,
PYAR SE RAASTA AGAR DEKHA

NAALION MEIN HUYAAT DEKHI HAI,
GAALIYON MEIN BUDA ASAR DEKHA

USS PARINDE KO CHOT AAYI TO ,
AAPNE EK-EK BAAR DEKHA

HUM KHADE THE KI YE JAMI HOGI,
CHAL PADI TO IDHAR UDHAR DEKHA

Monday 19 September 2011

IS RAASTE KE NAAM

IS RAASTE KE NAAM LIKHO EK SHAM AUR,
YA ISME ROSNI KA KARO EK INTJAAM AUR

AANDHI MEIN SIRF HUM HI UUKHAD KAR NAHIN GIRE,
HUMSE GUDA HUA THA KOI EK NAAM AUR

MARGHAT MEIN BHEED HAI YA MAZARON PE BHEED HAI,
AB GUUL KHILA RAHA HAI TUMHARA NIZAM AUR

GHUTNO PE RAKH KE HATH KHADE THE NAMAJ MEIN,
AA JA RAHE THE LOG JEHUN MEIN TAMAM AUR

HUMNE BHI PEHLI BAAR CHAKHI TO BURAI LAGI,
KADWI TUMHE LAGEGI MAGAR EK JAAM AUR

HEERAN THE APNE AAKS PE GHAR KE TAMAM LOG,
SHEESA CHATAK GAYA TO HUA EK KAAM AUR

UNKA KAHIN JAHAN MEIN THIKANA NAHIN RAHA,
HUMKO TO MIL GAYA HAI ADAB MEIN MUKAM AUR