Monday 29 August 2011

IS NADI KI DHAAR MEIN

IS NADI KI DHAAR MEIN THANDI HAWA AATI TO HAI,
NAO JARJAR HI SAHI, LEHRON SE TAKRATI TO HAI

EK CHINGARI KAHIN SE DHOONDH LAO DOSTO,
IS DIYE MEIN TAEL SE BHEEGI HUI BAATI TO HAI

EK KHANDHAR KE HRIDY SI, EK JUNGLI PHOOL SI,
AADMI KI PEER GOOGNGI HI SAHI, GAATI TO HAI

EK CHADAR SAANJH NE SAARE NAGAR PAR DAAL DI,
YEH AANDHERE KI SADAK US BHOR TAK JAATI TO HAI

NIRWACHAN MAIDAN MEIN LETI HUI HAI JO NADI,
PATTHARO SE, OAT MEIN JO JAAKE BATYATI TO HAI

DUKH NAHIN KOI KI UPLABDHIYON KE NAM PAR,
AUR KUCH HO YA NA HO, AAKASH SI CHAAATI TO HAI

No comments:

Post a Comment