Sunday 28 August 2011

KAISE MANJAR SAAMNE AANE

KAISE MANZAR SAAMNE AANE LAGE HAIN,
GAATE-GAATE LOG CHILLAANE LAGE HAIN

AAB TO IS TALAB KA PANI BADUL DO,
YE KAMWAL KE PHOOL KUMHLAANE LAGE HAIN

WO SALIBON KE KAREEB AAYE TO HUMKO,
KAAEDE-KANOON SAMJHAANE LAGE HAIN

EK KABRISTAAN MEIN GHAR MIL RAHA HAI,
JISME TEHKHANO MEIN TEHKHAANE LAGE HAIN

MACHLIYON MEIN KHALBALI HAI , AAB SUFEENE,
OUS TARAF JAANE SE KATRAANE LAGE HAIN 

MOLVE SE DAINT KHAKAR AAEHLE MAKTAB,
PHIR USI AAYAT KO DOHRAANE LAGE HAIN

AAB NAI TEHJEEB KE PAASE -NAZAR HUM,
AADMI KO BHOONKAR KHAANE LAGE HAIN 
 

No comments:

Post a Comment