Sunday 28 August 2011

KAHAN TO TEH THA

KAHAN TO TEH THA CHIRANGAN HAREK GHAR KE LIYE,
KAHAN CHIRAG MEYSAR NAHIN SEHAR KE LIYE

YAHAN DARKHATON KE SAAYE MEIN DHOOP LAGTI HAI,
CHALO YAHAN SE CHALEN AUR UMR BHAR KE LIYE

NA HO KAMIJ TO PAON SE PATE DHAK LENGE,
YE LOG KITNE MUNASIB HAIN, IS SAFAR KE LIYE

KHUDA NAHIN, NA SAHI, AADMI KA KHAWAB SAHI,
KOI HASEEN NAZARA TO HAI NAZAR KE LIYE

WE MUTMIN HAIN KI PATTHAR PIGAL NAHIN SAKTA,
MEIN BEKARAR HUN AAWAZ MEIN ASAR KE LIYE

TERA NIZAM HAI SIL DE JUBAN SAYAR KO,
YE EHTIYAT ZARURI HAI IS BEAHR KE LIYE

JIYEN TO AAPNE BAGEECHE MEIN GULMOHAR KE TULE,
MAREIN TO GAER KI GALIYON MEIN GULMOHAR KE LIYE


No comments:

Post a Comment